us ka khayaal chashm se khawaab le gaya
quasme ki ji se mire taab le gaya
kin neendon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-naak
mizgan toh khol shahar ko sailaab le gaya
aawe jo mastaba mein toh sun lo ki raah se
waaiz ko ek jaam-e-mai-e-naab le gaya
ne dil raha baja hai na sabr o hawaas o hosh
aaya jo sail-e-ishq sab asbaab le gaya
mere huzoor shama ne girya jo sar kiya
roya main is quadar ki mujhe aab le gaya
ahwaal us shikaar zuboon ka hai jaae raham
jis naa-tawan ko muft na quassaab le gaya
munh ki jhalak se yaar ke behosh ho gae
shab ham ko meer partaw-e-mahtaab le gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai