sher ke parde mein main ne sunaaya hai bahut
marsiye ne ke mere bhi rulaaya hai bahut
be-sabab aata nahi ab dam-b-dam aashique ko ghash
dard kheencha hai nihaayat ranj uthaaya hai bahut
waadi o kohsaar mein rota hoon daadhein maar maar
dilabraan-e-shahar ne mujh ko sataaya hai bahut
wa nahi hota kisoo se dil girafta ishq ka
zaahiran ghamgin use rahna khush aaya hai bahut
meer gum-gashta ka milna ittifaaqui amr hai
jab kabhoo paaya hai khwaahish-mand paaya hai bahut
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai