munh taka hi kare hai jis tis ka
hairti hai ye aaeena kis ka
shaam se kuchh bujha sa rahta hoon
hua hai charaagh muflis ka
the bure mughbachon ke tewar lek
shaikh mai-khaane se khiska
daagh aankhon se khil rahe hain sab
haath dasta hua hai nargis ka
bahar kam-zarf hai basaan-e-habaab
kaasa-lais ab hua hai tu jis ka
faiz ai abr chashm-e-tar se utha
aaj daaman waseea hai is ka
taab kis ko jo haal-e-meer sune
haal hi aur kuchh hai majlis ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai