aage -e-yaar ke maazoor ho gaya
ik chaman mein deeda-e-benoor ho gaya
ik chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se raah
jon zakhm teri doori mein naasoor ho gaya
quismat toh dekh shaikh ko jab lahar aai tab
darwaaza sheera khaane ka maamoor ho gaya
pahuncha quareeb marg ke wo said-e-naa-qubool
jo teri said-e-gaah se tak door ho gaya
dekha ye naaw-nosh ki neesh-e-firaaque se
seena tamaam khana-e-zamboor ho gaya
is maah-e-chaardah ka chhape ishq kyoonke aah
ab toh tamaam shahar mein mashhoor ho gaya
shaayad kaso ke dil ko lagi us gali mein chot
meri baghal mein sheesha-e-dil choor ho gaya
laasha mira tasalli na zer-e-zamin hua
jab tak na aan kar wo sar-e-gor ho gaya
dekha jo main ne yaar toh wo meer hi nahi
tere gham-e-firaaque mein ranjoor ho gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai