-e-door-e-ishq mein rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
quafile mein subh ke ik shor hai
yaani ghaafil ham chale sota hai kya
sabz hoti hi nahi ye sarazmin
tukhm-e-khwaahish mein tu bota hai kya
ye nishaan-e-ishq hain jaate nahi
daagh chhaati ke abas dhota hai kya
ghairat-e-yoosuf hai ye waqt-e-azeez
meer us ko raaegan khota hai kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai