lazzat se nahi khaali jaanon ka khapa jaana
kab khizr o maseeha ne marne ka mazaa jaana
ham jaah-o-hasham yan ka kya kahiye ki kya jaana
khaatim ko sulaiman ki angushtar-e-pa jaana
ye bhi hai ada koi khursheed namat pyaare
munh subh dikha jaana phir shaam chhupa jaana
kab bandagi meri si bandaa karega koi
jaane hai us ko main tujh ko khuda jaana
tha naaz bahut ham ko daanist par apni bhi
aakhir wo bura nikla ham jis ko bhala jaana
gardan-kashi kya haasil maanind bagoole ki
is dasht mein sar gaade joon sail chala jaana
is girya-e-khoonin ka ho zabt toh behtar hai
achchha nahi chehre par lohoo ka baha jaana
ye naqsh dilon par se jaane ka nahi us ko
aashique ke huquooque aa kar naahaque bhi mita jaana
dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhaara tha
jaate toh ho par ham se tuk aankh mila jaana
us shama ki majlis mein jaana hamein phir wan se
ik zakhm-e-zaban taaza har roz utha jaana
ai shor-e-quayaamat ham sote hi na rah jaawein
is se nikle toh ham ko bhi jaga jaana
kya paani ke mol aa kar maalik ne guhar becha
hai sakht giran sasta yoosuf ka bika jaana
hai meri tiri nisbat rooh aur jasad ki si
kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana
jaati hai guzar ji par us waqt quayaamat si
yaad aawe hai jab tera yak-baargi aa jaana
barson se mire us ki rahti hai yahi sohbat
tegh us ko uthaana toh sar mujh ko jhuka jaana
kab meer basar aae tum waise farebi se
dil ko toh laga baithe lekin na laga jaana
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai