kuchh mauj-e-hawa pechan ai meer aai
shaayad ki bahaar aai zanjeer aai
dilli ke na the kooche auraaque-e-musawwar the
jo shakl nazar aai tasweer nazar aai
maghroor bahut the ham aansoo ki saraayat par
so subh ke hone ko taaseer nazar aai
gul-baar kare haiga asbaab-e-safar shaayad
ghunche ki tarah bulbul dil-geer nazar aai
us ki toh dil-aazaari be-hech hi thi yaaro
kuchh tum ko hamaari bhi taqseer nazar aai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai