jin jin ko tha ye ka aazaar mar gae
aksar hamare saath ke beemaar mar gae
hota nahi hai us lab-e-nau-khat pe koi sabz
isa o khizr kya sabhi yak-baar mar gae
yoon kaanon-kaan ne na jaana chaman mein aah
sar ko patak ke ham pas-e-deewar mar gae
sad kaarwan wafa hai koi poochhta nahi
goya mata-e-dil ke khareedaar mar gae
majnoon na dasht mein hai na farhaad koh mein
tha jin se lutf-e-zindagi we yaar mar gae
gar zindagi yahi hai jo karte hain ham aseer
toh we hi ji gae jo giraftaar mar gae
afsos we shaheed ki jo quatl-gaah mein
lagte hi us ke haath ki talwaar mar gae
tujh se do-chaar hone ki hasrat ke mubtila
jab ji hue wabaal toh naachaar mar gae
ghabra na meer ishq mein us sahal-e-zeest par
jab bas chala na kuchh toh mire yaar mar gae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai