jeete-ji koocha-e-dildaar se jaaya na gaya
us ki deewar ka sar se mire saaya na gaya
kaaw-kaawe miza-e-yaar o -e-zaar-o-nazaar
guth gae aise shitaabi ki chhudaaya na gaya
wo toh kal der talak dekhta idhar ko raha
ham se hi haal-e-tabaah apna dikhaaya na gaya
garm-rau -e-fanaa ka nahi ho sakta patang
us se toh shama-namat sar bhi kataaya na gaya
paas-e-naamoos-e-mohabbat tha ki farhaad ke paas
be-sutoon saamne se apne uthaaya na gaya
khaak tak koocha-e-dildaar ki chhaani ham ne
justujoo ki pe dil-e-gum-shuda paaya na gaya
aatish-e-tez judaai mein yakaayak us bin
dil jala yoon ki tanik ji bhi jalaaya na gaya
mah ne aa saamne shab yaad dilaaya tha use
phir wo ta subh mire ji se bhulaaya na gaya
zer-e-shamsheer-e-sitam meer tadapna kaisa
sar bhi tasleem-e-mohabbat mein hilaaya na gaya
ji mein aata hai ki kuchh aur bhi mauzoon keeje
dard-e-dil ek ghazal mein toh sunaaya na gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai