jab naam tira leejiye tab chashm bhar aawe
is karne ko kahan se jigar aawe
talwaar ka bhi maara rakkhe hai zaalim
ye toh ho koi gor-e-ghareeban mein dar aawe
maikhaana wo manzar hai ki har subh jahan shaikh
deewar pe khursheed ka masti se sar aawe
kya jaanein we murghaan-e-giraftaar-e-chaman ko
jin tak ki b-sad-naaz naseem-e-sahar aawe
tu subh quadam-ranja kare tuk toh hai warna
kis waaste aashique ki shab-e-gham basar aawe
har soo sar-e-tasleem rakhe said-e-haram hain
wo said-fagan tegh-b-kaf ta kidhar aawe
deewaaron se sar maarte phirne ka gaya waqt
ab tu hi magar aap kabhoo dar se dar aawe
waaiz nahi kaifiyyat-e-mai-khana se aagaah
yak juraa badal warna ye mindeel dhar aawe
sannaaa hain sab khwaar azan jumla hoon main bhi
hai aib bada us mein jise kuchh hunar aawe
ai wo ki tu baitha hai sar-e-raah pe zinhaar
kahiyo jo kabhoo meer bala-kash idhar aawe
mat dasht-e-mohabbat mein quadam rakh ki khizar ko
har gaam pe is rah mein safar se hazar aawe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai