hamare khayaal pada hai khawaab gai aaraam gaya
ji ka jaana thahar raha hai subh gaya yaa shaam gaya
kiya so deen gaya imaan gaya islaam gaya
dil ne aisa kaam kiya kuchh jis se main naakaam gaya
kis kis apni kal ko rowe hijran mein bekal us ka
khawaab gai hai taab gai hai chain gaya aaraam gaya
aaya yan se jaana hi toh ji ka chhupaana kya haasil
aaj gaya yaa kal jaawega subh gaya yaa shaam gaya
haae jawaani kya kya kahiye shor saron mein rakhte the
ab kya hai wo ahad gaya wo mausam wo hangaam gaya
gaali jhidki khashm-o-khushoonat ye toh sar-e-dast aksar hain
lutf gaya ehsaan gaya inaaam gaya ikraam gaya
likhna kahna tark hua tha aapas mein toh muddat se
ab jo quaraar kiya hai dil se khat bhi gaya paighaam gaya
naala-e-meer sawaad mein ham tak doshin shab se nahi aaya
shaayad shahar se us zaalim ke aashique wo badnaam gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai