is ahad mein ilaahi mohabbat ko kya hua
chhoda wafa ko un ne murawwat ko kya hua
ummeed-waar-e-waada-e-deedaar mar chale
aate hi aate yaaro quayaamat ko kya hua
kab tak tazallum aah bhala ke tain
kuchh pesh aaya waaquia rahmat ko kya hua
us ke gae par aise gae se ham-nashin
maaloom bhi hua na ki taaqat ko kya hua
bakhshish ne mujh ko abr-e-karam ki kiya khajil
ai chashm josh-e-ashk-e-nadaamat ko kya hua
jaata hai yaar tegh-b-kaf ghair ki taraf
ai kushta-e-sitam tiri ghairat ko kya hua
thi saab-e-aashiqui ki badaayat hi meer par
kya jaaniye ki haal-e-nihaayat ko kya hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai