hasti apni habaab ki si hai
ye numaaish saraab ki si hai
naazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhudi ik gulaab ki si hai
chashm-e- khol is bhi aalam par
yan ki auquat khawaab ki si hai
baar baar us ke dar pe jaata hoon
haalat ab iztiraab ki si hai
nuqta-e-khaal se tira abroo
bait ik intikhaab ki si hai
main jo bola kaha ki ye aawaaz
usi khana-kharaab ki si hai
aatish-e- mein dil bhuna shaayad
der se boo kabaab ki si hai
dekhiye abr ki tarah ab ke
meri chashm-e-pur-aab ki si hai
meer un neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab ki si hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai