dekh toh ki jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai
gor kis dilajle ki hai ye falak
shola ik subh yan se uthta hai
khana-e- se zeenhaar na ja
koi aise makan se uthta hai
naala sar kheenchata hai jab mera
shor ik aasman se uthta hai
ladti hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek aashob wan se uthta hai
sudh le ghar ki bhi shola-e-aawaaz
dood kuchh aashiyan se uthta hai
baithne kaun de hai phir us ko
jo tire aastan se uthta hai
yoon uthe aah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai
ishq ik meer bhaari patthar hai
kab ye tujh naa-tawan se uthta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai