chaman mein ne jo kal daawa-e-jamaal kiya
-e-yaar ne munh us ka khoob laal kiya
falak ne aah tiri rah mein ham ko paida kar
b-rang-e-sabz-e-noorasta paaemaal kiya
rahi thi dam ki kashaakash gale mein kuchh baaqui
so us ki tegh ne jhagda hi infisaal kiya
miri ab aankhein nahi khultin zof se hamdam
na kah ki neend mein hai tu ye kya khayaal kiya
bahaar-e-rafta phir aai tire tamaashe ko
chaman ko yumn-e-quadam ne tire nihaal kiya
jawaab-naama siyaahi ka apni hai wo zulf
kisoo ne hashr ko ham se agar sawaal kiya
laga na dil ko kahin kya suna nahi tu ne
jo kuchh ki meer ka is aashiqui ne haal kiya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai