chalte ho toh ko chaliye kahte hain ki bahaaran hai
paat hare hain khile hain kam-kam baad-o-baaran hai
rang hawa se yoon tapke hai jaise sharaab chuwaate hain
aage ho mai-khaane ke niklo ahad-e-baada-gusaaran hai
ishq ke maidan-daaron mein bhi marne ka hai wasf bahut
yaani museebat aisi uthaana kaar-e-kaar-guzaaran hai
dil hai daagh jigar hai tukde aansoo saare khoon hue
lohoo paani ek kare ye ishq-e-laala-azaaran hai
kohkan o majnoon ki khaatir dasht-o-koh mein ham na gae
ishq mein ham ko meer nihaayat paas-e-izzat-daaran hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai