baare duniyaa mein raho -zada yaa shaad raho
aisa kuchh kar ke chalo yan ki bahut raho
ishq-peche ki tarah husn-e-giraftaari hai
lutf kya sarw ki maanind gar aazaad raho
ham ko deewaangi shahron hi mein khush aati hai
dasht mein quais raho koh mein farhaad raho
wo garan khawaab jo hai naaz ka apne so hai
daad be-daad raho shab ko ki fariyaad raho
meer ham mil ke bahut khush hue tum se pyaare
is kharaabe mein miri jaan tum aabaad raho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai