baar-ha gor-e- jhanka laaya
ab ke shart-e-wafa baja laaya
quadr rakhti na thi mata-e-
saare aalam mein main dikha laaya
dil ki yak quatra khoon nahi hai besh
ek aalam ke sar bala laaya
sab pe jis baar ne giraani ki
us ko ye naa-tawan utha laaya
dil mujhe us gali mein le ja kar
aur bhi khaak mein mila laaya
ibtida hi mein mar gae sab yaar
ishq ki kaun intiha laaya
ab toh jaate hain but-kade se meer
phir milenge agar khuda laaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai