ab jo ik hasrat-e-jawaani hai
umr-e-rafta ki ye nishaani hai
rashk-e-yoosuf hai aah waqt-e-azeez
umr ik baar-e-kaarwaani hai
girya har waqt ka nahi be-hech
dil mein koi -e-nihaani hai
ham quafas-zaad quaidi hain warna
ta ek par-fishaani hai
us ki shamsheer tez hai hamdam
mar rahenge jo zindagaani hai
gham-o-ranj-o-alam niko yan se
sab tumhaari hi meharbaani hai
khaak thi maujzan jahan mein aur
ham ko dhoka ye tha ki paani hai
yan hue meer tum baraabar khaak
wan wahi naaz o sargiraani hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai