aarzooein hazaar rakhte hain
toh bhi ham ko maar rakhte hain
barque kam-hausla hai ham bhi toh
ko be-quaraar rakhte hain
ghair hi moorid-e-inaayat hai
ham bhi toh tum se pyar rakhte hain
na nigah ne payaam ne waada
naam ko ham bhi yaar rakhte hain
ham se khush-zamazma kahan yoon toh
lab o lahja hazaar rakhte hain
chotte dil ke hain butan mashhoor
bas yahi etibaar rakhte hain
phir bhi karte hain meer saahab ishq
hain jawan ikhtiyaar rakhte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai