aam hukm-e-sharaab karta hoon
mohatsib ko kabaab karta hoon
tuk toh rah ai bina-e-hasti tu
tujh ko kaisa kharaab karta hoon
bahas karta hoon ho ke abjad-khwan
kis quadar be- karta hoon
koi bujhti hai ye bhadak mein abas
tishnagi par itaab karta hoon
sar talak aab-e- mein hoon gharque
ab tain aab aab karta hoon
ji mein phirta hai meer wo mere
jaagta hoon ki khawaab karta hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai