aah jis waqt sar uthaati hai
arsh par barchhiyan chalaati hai
naaz-bardaar-e-lab hai jan jab se
tere khat ki khabar ko paati hai
ai -e-hijr raast kah tujh ko
baat kuchh subh ki bhi aati hai
chashm-e-baddoor-chashm-e- ai meer
aankhein toofaan ko dikhaati hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
meer us ghazal ko khoob kaha tha zameer ne
par ai zaban daraaz bahut ho chuki khamosh
shash jihat se us mein zaalim boo khoon ki raah hai
tera kocha ham se toh kah kis ki bismil gaah hai
ek nabhne ka nahi mizgan talak bojhal hain sab
kaarwan lakht dil har ashk ke ham raah hai
ham jwaanon ko na chhoda us se sab pakde gae
ye do saala dukhtar raz kis quadar shataah hai
pa barahna khaak sar mein moo pareshan seena chaak
haal mera dekhne aa tere hi dil khwaah hai
us junoon par meer koi bhi phire hai shahar mein
jaada-e sahra se kar saazish jo tujh se raah hai