wajd ho -e-tasweer ko jis ki boo se
us se -rang ka daawa kare phir kis roo se
shama ke rone pe bas saaf hansi aati hai
aatish-e-dil kahin kam hoti hai chaar aansoo se
ek din wo tha ki takiya tha kisi ka baazoo
ab sar uthta hi nahi apne sar-e-zaanoo se
naza mein hoon miri mushkil karo aasan yaaron
kholo taaweez-e-shifa jald mire baazoo se
shokhi-e-chashm ka tu kis ki hai deewaana anees
aankhein malta hai jo yoon naqsh-e-kaf-e-aahoo se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.