shaheed-e- hue quais naamwar ki tarah
jahan mein aib bhi ham ne kiye hunar ki tarah
kuchh aaj shaam se chehra hai faque ki tarah
dhala hi jaata hoon furqat mein dophar ki tarah
siyaah-bakhton ko yoon baagh se nikaal ai charkh
ki chaar phool toh daaman mein hon sipar ki tarah
tamaam khalque hai khwaahaan-e-aabru ai rab
chhupa mujhe sadaf-e-quabr mein guhar ki tarah
tujhi ko dekhoonga jab tak hain baraquraar aankhein
miri nazar na phiregi tiri nazar ki tarah
hamaari quabr pe kya ehtiyaaj-e-ambar-o-ood
sulag raha hai har ik ustukhwan agar ki tarah
naheef-o-zaar hain kya zor baaghban se chale
jahan bitha diya bas rah gae shajar ki tarah
tumhare halqua-b-goshon mein ek ham bhi hain
pada rahe ye sukhan kaan mein guhar ki tarah
anees yoon hua haal-e-jawaani-o-peeri
badhe the nakhl ki soorat gire samar ki tarah
Responses
No comments yet. Be the first to respond.