sada hai fikr-e-taraqqui buland-beenon ko
ham aasmaan se laae hain in zameenon ko
padhein durood na kyoon dekh kar haseenon ko
khayaal-e-sanaat-e-saane hai paak-beenon ko
kamaal-e-faqr bhi shaayan hai paak-beenon ko
ye takht hai ham boriya-nasheenon ko
lahad mein soe hain chhoda hai shah-nasheenon ko
quaza kahan se kahan le gai makeenon ko
ye jhurriyan nahi haathon pe zof-e-peeri ne
chuna hai jaama-e-asli ki aasteenon ko
laga raha hoon mazaameen-e-nau ke phir ambaar
khabar karo mire khirman ke khosha-cheenon ko
bhala taraddud-e-beja se un mein kya haasil
utha chuke hain zameendaar jin zameenon ko
unhin ko aaj nahi baithne ki ja milti
muaaf karte the jo log kal zameenon ko
ye zaaeron ko milin sarafraaziyan warna
kahan ki choomein malak jabeenon ko
sajaaya ham ne mazaamin ke taaza phoolon se
basa diya hai in ujdi hui zameenon ko
lahad bhi dekhiye in mein naseeb ho ki na ho
ki khaak chhaan ke paaya hai jin zameenon ko
zawaal-e-taaqat o moo-e-sapeed o zof-e-basar
inhin se paae bashar maut ke quareenon ko
nahi khabar unhein mitti mein apne milne ki
zamin mein gaad ke baithe hain jo dafeenon ko
khabar nahi unhein kya bandobast-e-pukhta ki
jo ghasb karne lage ghair ki zameenon ko
jahan se uth gae jo log phir nahi milte
kahan se dhoond ke ab laaein ham-nasheenon ko
nazar mein phirti hai wo teergi o tanhaai
lahad ki khaak hai surma maaal-beenon ko
khayaal-e-khaatir-e-ahbaab chahiye har dam
anees thes na lag jaae aabgeenon ko
Responses
No comments yet. Be the first to respond.