mira raaz-e- aashkaara nahi
wo hoon jis ka kinaara nahi
wo gul hoon juda sab se hai jis ka rang
wo boo hoon ki jo aashkaara nahi
wo paani hoon sheerin nahi jis mein shor
wo aatish hoon jis mein sharaara nahi
bahut zaal-e-duniyaa ne din baaziyan
main wo naujwan hoon jo haara nahi
jahannam se ham be-quaraaron ko kya
jo aatish pe thahre wo paara nahi
faqueeron ki majlis hai sab se juda
ameeron ka yan tak guzaara nahi
sikandar ki khaatir bhi hai sadd-e-baab
jo daara bhi ho toh madaara nahi
kisi ne tiri tarah se ai anees
uroos-e-sukhan ko sanwaara nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.