ibtida se ham zaeef o naa-tawan paida hue
ud gaya jab rang rukh se ustukhwan paida hue
khaaksaari ne dikhaain rifaaton par rifaatein
is zamin se waah kya kya aasman paida hue
ilm khaalique ka khazaana hai miyaan-e-kaaf-o-noon
ek kun kahne se ye kaun-o-makan paida hue
zabt dekho sab ki sun li aur kuchh apni kahi
is zaban-daani par aise be-zaban paida hue
shor-bakhti aai hisse mein unhin ke wa
talkh-kaami ke liye sheerin-zaban paida hue
ehtiyaat-e-jism kya anjaam ko socho anees
hone ko ye musht-e-ustukhwan paida hue
Responses
No comments yet. Be the first to respond.