kya jaane kis ki pyaas bujhaane kidhar gain
is sar pe jhoom ke jo ghataaein guzar gain
poochhta hai ye lahron se baar baar
kuchh bastiyan yahan thin bataao kidhar gain
ab jis taraf se chaahe guzar jaae kaarwan
weeraaniyan toh sab mire mein utar gain
paimaana tootne ka koi gham nahi mujhe
gham hai toh ye ki chaandani raatein bikhar gain
paaya bhi un ko kho bhi diya chup bhi ho rahe
ik mukhtasar si raat mein sadiyan guzar gain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.