kahin se laut ke ham ladakhdaae hain kya kya
sitaare zer-e-quadam aae hain kya kya
nasheb-e-hasti se afsos ham ubhar na sake
faraaz-e-daar se paighaam aae hain kya kya
jab us ne haar ke khanjar zamin pe phenk diya
tamaam zakhm-e-jigar muskuraae hain kya kya
chhata jahan se us aawaaz ka ghana baadal
wahin se dhoop ne talwe jalaae hain kya kya
utha ke sar mujhe itna toh dekh lene de
ki quatl-gaah mein deewaane aae hain kya kya
kahin andhere se maanoos ho na jaae adab
tez hawa ne bujhaae hain kya kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.