ye misra kaash naqsh-e-har-dar-o-deewar ho jaae
jise jeena ho marne ke liye tayyaar ho jaae
wahi mai-khwaar hai jo is tarah mai-khwaar ho jaae
ki sheesha tod de aur be-piye sarshaar ho jaae
-e-insan agar shaaista-e-asraar ho jaae
lab-e-khaamosh-fitrat hi lab-e-guftaar ho jaae
har ik be-kaar si hasti b-roo-e-kaar ho jaae
junoon ki rooh-e-khwaabeeda agar bedaar ho jaae
suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi
mujhe dar hai na tauheen-e--e-yaar ho jaae
hareem-e-naaz mein us ki rasaai ho toh kyoonkar ho
ki jo aasooda zer-e-saaya-e-deewar ho jaae
maaaz-allaah us ki waardaat-e-gham maaaz-allaah
chaman jis ka watan ho aur chaman-be-zaar ho jaae
yahi hai zindagi toh zindagi se khud-kushi achchhi
ki insan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaae
ik aisi shaan paida kar ki baatil tharathra utthe
nazar talwaar ban jaae nafas jhankaar ho jaae
ye roz o shab ye subh o shaam ye basti ye weeraana
sabhi bedaar hain insan agar bedaar ho jaae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai