ye hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saaqui imaam hai
ye haram nahi hai ai shaikh ji yahan paarsaai haraam hai
jo zara si pi ke bahak gaya use mai-kade se nikaal do
yahan tang- ka guzar nahi yahan ahal-e-zarf ka kaam hai
koi mast hai koi tishna-lab toh kisi ke haath mein jaam hai
magar is pe koi kare bhi kya ye toh mai-kade ka nizaam hai
ye janaab-e-shaikh ka falsafa hai ajeeb saare se
jo wahan piyo toh halaal hai jo yahan piyo toh haraam hai
isi kaaenaat mein ai jigar koi inqalaab uthega phir
ki buland ho ke bhi aadmi abhi khwaahishon ka ghulaam hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai