wo jo roothein yoon manaana chahiye
se rooth jaana chahiye
himmat-e-quatil badhaana chahiye
zer-e-khanjar muskuraana chahiye
hai naam johad o jang ka
maut kya hai bhool jaana chahiye
hai inhin dhokon se dil ki zindagi
jo hasin dhoka ho khana chahiye
lazzatein hain dushman-e-auj-e-kamaal
kulfaton se ji lagaana chahiye
un se milne ko toh kya kahiye jigar
khud se milne ko zamaana chahiye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai