wo ada-e-dilabri ho ki nawa-e-aashiquana
jo dilon ko fath kar le wahi faateh-e-zamaana
ye tira -e-kaamil ye shabaab ka zamaana
-e-dushmanan salaamat dil-e-dostan nishaana
kabhi husn ki tabeeat na badal saka zamaana
wahi naaz-e-be-niyaazi wahi shaan-e-khusarwaana
main hoon us maquam par ab ki firaaque o wasl kaise
mira ishq bhi kahaani tira husn bhi fasaana
miri zindagi toh guzri tire hijr ke sahaare
miri maut ko bhi pyaare koi chahiye bahaana
tire ishq ki karaamat ye agar nahi toh kya hai
kabhi be-adab na guzra mire paas se zamaana
tiri doori o huzoori ka ye hai ajeeb aalam
abhi zindagi haqueeqat abhi zindagi fasaana
mire ham-safeer bulbul mira tera saath hi kya
main zameer-e-dasht-o-dariya tu aseer-e-aashiyana
main wo saaf hi na kah doon jo hai farque mujh mein tujh mein
tira dard dard-e-tanha mira gham gham-e-zamaana
tire dil ke tootne par hai kisi ko naaz kya kya
tujhe ai jigar mubaarak ye shikast-e-faatehaana
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai