us ki nazron mein intikhaab hua
dil ajab se kharaab hua
ka sehar kaamyaab hua
main tira tu mira jawaab hua
har nafas mauj-e-iztiraab hua
zindagi kya hui azaab hua
jazba-e-shauque kaamyaab hua
aaj mujh se unhein hijaab hua
main banoon kis liye na mast-e-sharaab
kyoon mujassam koi shabaab hua
nigah-e-naaz le khabar warna
dard mahboob-e-iztiraab hua
meri barbaadiyan durust magar
tu bata kya tujhe sawaab hua
ain qurbat bhi ain furqat bhi
haae wo quatra jo habaab hua
mastiyan har taraf hain aawaara
kaun ghaarat-gar-e-sharaab hua
dil ko chhoona na ai naseem-e-karam
ab ye dil roo-kash-e-habaab hua
ishq-e-be-imtiyaaz ke haathon
husn khud bhi shikast-yaab hua
jab wo aae toh pesh-tar sab se
meri aankhon ko izn-e-khawaab hua
dil ki har cheez jagamga utthi
aaj shaayad wo be-naquab hua
daur-e-hangaama-e-nashaat na poochh
ab wo sab kuchh khayaal o khawaab hua
tu ne jis ashk par nazar daali
josh kha kar wahi sharaab hua
sitam-e-khaas-e-yaar ki hai quasam
karam-e-yaar be-hisaab hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai