tujhi se ibtida hai tu hi ik din intiha hoga
sada-e-saaz hogi aur na saaz-e-be-sada hoga
hamein maaloom hai ham se suno mahshar mein kya hoga
sab us ko dekhte honge wo ham ko dekhta hoga
sar-e-mahshar ham aise aasiyon ka aur kya hoga
dar-e-jannat na wa hoga dar-e-rahmat toh wa hoga
jahannam ho ki jannat jo bhi hoga faisla hoga
ye kya kam hai hamaara aur un ka saamna hoga
azal ho yaa abad donon aseer-e-zulf-e-hazrat hain
jidhar nazrein uthaaoge yahi ik silsila hoga
ye nisbat ki be-rang laae rah nahi sakti
jo mahboob-e- ka hai wo mahboob-e-khuda hoga
isi ummeed par ham taalibaan-e-dard jeete hain
khosha dard de ki tera aur dard-e-la-dawa hoga
nigaah-e-quahar par bhi jaan-o-dil sab khoe baitha hai
nigaah-e-mehar aashique par agar hogi toh kya hoga
siyaana bhej dega ham ko mahshar se jahannam mein
magar jo dil pe guzregi wo dil hi jaanta hoga
samajhta kya hai tu deewaangaan-e-ishq ko zaahid
ye ho jaaenge jis jaanib usi jaanib khuda hoga
jigar ka haath hoga hashr mein aur daaman-e-hazrat
shikaayat ho ki shikwa jo bhi hoga baramla hoga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai