tabeeat in dinon begaana-e- hoti jaati hai
mire hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai
hone ko hai bedaar shabnam hoti jaati hai
khushi manjumla-o-asbaab-e-maatam hoti jaati hai
quayaamat kya ye ai husn-e-do-aalam hoti jaati hai
ki mahfil toh wahi hai dil-kashi kam hoti jaati hai
wahi mai-khana-o-sahba wahi saaghar wahi sheesha
magar aawaaz-e-nosha-nosh maddham hoti jaati hai
wahi hain shaahid-o-saaqui magar dil bujhta jaata hai
wahi hai shama lekin raushani kam hoti jaati hai
wahi shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashin koi
wahi dil hai magar aawaaz maddham hoti jaati hai
wahi hai zindagi lekin jigar ye haal hai apna
ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai