sharma gae laja gae daaman chhuda gae
ai marhaba wo yahan tak toh aa gae
par hazaar tarah ke auhaam chha gae
ye tum ne kya kiya miri duniyaa mein aa gae
sab kuchh luta ke raah-e-mohabbat mein ahal-e-dil
khush hain ki jaise daulat-e-kaunain pa gae
sehan-e-chaman ko apni bahaaron pe naaz tha
wo aa gae toh saari bahaaron pe chha gae
aql o junoon mein sab ki thin raahein juda juda
hir-phir ke lekin ek hi manzil pe aa gae
ab kya karoon main fitrat-e-naakaam-e-ishq ko
jitne the haadsaat mujhe raas aa gae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai