-e-firaaque hai aur neend aai jaati hai
kuchh is mein un ki tawajjoh bhi paai jaati hai
ye umr-e- yoonhi kya ganwaai jaati hai
hayaat zinda haqueeqat banaai jaati hai
bana bana ke jo duniyaa mitaai jaati hai
zaroor koi kami hai ki paai jaati hai
hamin pe ishq ki tohmat lagaai jaati hai
magar ye sharm jo chehre pe chhaai jaati hai
khuda kare ki haqueeqat mein zindagi ban jaae
wo zindagi jo zaban tak hi paai jaati hai
gunaahgaar ke dil se na bach ke chal zaahid
yahin kahin tiri jannat bhi paai jaati hai
na soz-e-ishq na barque-e-jamaal par ilzaam
dilon mein aag khushi se lagaai jaati hai
kuchh aise bhi toh hain rindaan-e-paak-baaz jigar
ki jin ko be-mai-o-saaghar pilaai jaati hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai