shaaer-e-fitrat hoon jab bhi fikr farmaata hoon main
rooh ban kar zarre zarre mein sama jaata hoon main
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hoon main
jaise har shay mein kisi shay ki kami paata hoon main
jis quadar afsaana-e-hasti ko dohraata hoon main
aur bhi be-gaana-e-hasti hua jaata hoon main
jab makaan-o-la-makan sab se guzar jaata hoon main
allaah allaah tujh ko khud apni jagah paata hoon main
teri soorat ka jo aaeena use paata hoon main
apne par aap kya kya naaz farmaata hoon main
yak-b-yak ghabra ke jitni door hat aata hoon main
aur bhi us shokh ko nazdeek-tar paata hoon main
meri hasti shauque-e-paiham meri fitrat iztiraab
koi ho magar guzra chala jaata hoon main
haae-ri majbooriyan tark-e-mohabbat ke liye
mujh ko samjhaate hain wo aur un ko samjhaata hoon main
meri himmat dekhna meri tabeeat dekhna
jo sulajh jaati hai gutthi phir se uljhaata hoon main
husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai
apne hi quadmon ki khud hi thokrein khaata hoon main
teri mahfil tere jalwe phir taquaza kya zaroor
le utha jaata hoon zaalim le chala jaata hoon main
ta-kuja ye parda-daari-ha-e-ishq-o-laaf-e-husn
han sambhal jaaein do-aalam hosh mein aata hoon main
meri khaatir ab wo takleef-e-tajalli kyoon karein
apni gard-e-shauque mein khud hi chhupa jaata hoon main
dil mujassam sher-o-naghma wo saraapa rang-o-boo
kya fazaaein hain ki jin mein hal hua jaata hoon main
ta-kuja zabt-e-mohabbat ta-kuja dard-e-firaaque
raham kar mujh par ki tera raaz kahlaata hoon main
waah-re shauque-e-shahaadat koo-e-quatil ki taraf
gungunaata raqs karta jhoomta jaata hoon main
yaa wo soorat khud jahaan-e-rang-o-boo mahkoom tha
yaa ye aalam apne saae se daba jaata hoon main
dekhna is ishq ki ye turfa-kaari dekhna
wo jafa karte hain mujh par aur sharmaata hoon main
ek dil hai aur toofaan-e-hawaadis ai jigar
ek sheesha hai ki har patthar se takraata hoon main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai