sab pe tu meharbaan hai pyaare
kuchh hamaara bhi dhyaan hai pyaare
aa ki tujh bin bahut dinon se ye
ek soona makaan hai pyaare
tu jahan naaz se quadam rakh de
wo zameen aasmaan hai pyaare
mukhtasar hai ye shauque ki roodaad
har nafas daastaan hai pyaare
apne ji mein zara toh kar insaaf
kab se naa-meharbaan hai pyaare
toote hue dilon ka na le
tu yoonhi dhaan paan hai pyaare
ham se jo ho saka so kar guzre
ab tira imtihaan hai pyaare
mujh mein tujh mein toh koi farque nahi
ishq kyoon darmiyaan hai pyaare
kya kahe haal-e-dil ghareeb jigar
tooti phooti zabaan hai pyaare
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai