mila ke mire paas aa ke loot liya
hati thi ki phir muskura ke loot liya
shikast-e-husn ka jalwa dikha ke loot liya
nigaah neechi kiye sar jhuka ke loot liya
duhaai hai mire allaah ki duhaai hai
kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke loot liya
salaam us pe ki jis ne utha ke parda-e-dil
mujhi mein rah ke mujhi mein sama ke loot liya
unhin ke dil se koi us ki azmatein poochhe
wo ek dil jise sab kuchh luta ke loot liya
yahan toh khud tiri hasti hai ishq ko darkaar
wo aur honge jinhein muskura ke loot liya
khusha wo jaan jise di gai amaanat-e-ishq
rahe wo dil jise apna bana ke loot liya
nigaah daal di jis par haseen aankhon ne
use bhi husn-e-mujassam bana ke loot liya
bade wo aae dil o jan ke lootne waale
nazar se chhed diya gudguda ke loot liya
raha kharaab-e-mohabbat hi wo jise tu ne
khud apna dard-e-mohabbat dikha ke loot liya
koi ye loot toh dekhe ki us ne jab chaaha
tamaam hasti-e-dil ko jaga ke loot liya
karishma-saazi-e-husn-e-azal are tauba
mira hi aaeena mujh ko dikha ke loot liya
na lutte ham magar un mast ankhadiyon ne jigar
nazar bachaate hue dabadba ke loot liya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai