mohabbat mein ye kya maquam aa rahe hain
ki pe hain aur chale ja rahe hain
ye kah kah ke ham ko bahla rahe hain
wo ab chal chuke hain wo ab aa rahe hain
wo az-khud hi naadim hue ja rahe hain
khuda jaane kya kya khayaal aa rahe hain
hamare hi dil se maze un ke poochho
wo dhoke jo daanista ham kha rahe hain
jafa karne waalon ko kya ho gaya hai
wafa kar ke bhi ham toh sharma rahe hain
wo aalam hai ab yaaro aghyaar kaise
hamin apne dushman hue ja rahe hain
mizaaj-e-giraami ki ho khair yaa-rab
kai din se aksar wo yaad aa rahe hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai