kya baraabar ka mohabbat mein asar hota hai
idhar hota hai zaalim na udhar hota hai
ham ne kya kuchh na kiya deeda-e- ki khaatir
log kahte hain duaaon mein asar hota hai
dil toh yoon dil se milaaya ki na rakkha mera
ab nazar ke liye kya hukm-e-nazar hota hai
main gunahgaar-e-junoon main ne ye maana lekin
kuchh udhar se bhi taquaza-e-nazar hota hai
kaun dekhe use betaab-e-mohabbat ai dil
tu wo naale hi na kar jin mein asar hota hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai