kuchh is ada se aaj wo pahloo-nashin rahe
jab tak hamare paas rahe ham nahi rahe
imaan-o-kufr aur na duniyaa-o-din rahe
ai -e-shaad-baash ki tanha hamin rahe
aalam jab ek haal pe quaem nahi rahe
kya etibaar-e-nigaah-e-yaquin rahe
meri zaban pe shikwa-e-dard-aafrin rahe
shaayad mire hawaas thikaane nahi rahe
jab tak ilaahi jism mein jaan-e-hazin rahe
nazrein miri jawaan rahein dil hasin rahe
yaa-rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki khair ho
dast-e-junoon rahe na rahe aastin rahe
ta-chand josh-e-ishq mein dil ki hifaaztein
meri bala se ab wo junooni kahin rahe
ja aur koi zabt ki duniyaa talaash kar
ai ishq ham toh ab tire quabil nahi rahe
mujh ko nahi qubool do-aalam ki wusaatein
quismat mein koo-e-yaar ki do-gaz zamin rahe
ai ishq-e-naala-kash tiri ghairat ko kya hua
hai hai araque araque wo tan-e-naaznin rahe
dard-o-gham-e-firaak ke ye sakht marahle
hairan hoon main ki phir bhi tum itne hasin rahe
allaah-re chashm-e-yaar ki mojiz-bayaaniyan
har ik ko hai guman ki mukhaatib hamin rahe
zaalim utha tu parda-e-waham-o-gumaan-o-fikr
kya saamne wo marahla-haae-yaquin rahe
zaat-o-sifaat-e-husn ka aalam nazar mein hai
mahdood-e-sajda kya mira zauque-e-jabin rahe
kis dard se kisi ne kaha aaj bazm mein
achchha ye hai wo nang-e-mohabbat yahin rahe
sar-daadgaan-e-ishq-o-mohabbat ki kya kami
quatil ki tegh tez khuda ki zamin rahe
is ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasartein hain jab aansoo nahi rahe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai