koi ye kah de gulshan gulshan
laakh balaaein ek nasheman
quatil rahbar quatil rahzan
sa dost na dil sa dushman
khile hain gulshan gulshan
lekin apna apna daaman
ishq hai pyaare khel nahi hai
ishq hai kaar-e-sheesha-o-aahan
khair mizaaj-e-husn ki yaa-rab
tez bahut hai dil ki dhadkan
aa ki na jaane tujh bin kab se
rooh hai laasha jism hai madfan
aaj na jaane raaz ye kya hai
hijr ki raat aur itni raushan
umrein beetin sadiyan guzrin
hai wahi ab tak ishq ka bachpan
tujh sa hasin aur khoon-e-mohabbat
waham hai shaayad surkhi-e-daaman
barque-e-hawaadis allaah allaah
jhoom rahi hai shaakh-e-nasheman
tu ne sulajh kar gesoo-e-jaanan
aur badha di shauque ki uljhan
rahmat hogi taalib-e-isyan
rashk karegi paakeeye-daaman
dil ki mujassam aaeena-saaman
aur wo zaalim aaeena-dushman
baithe ham har bazm mein lekin
jhaad ke utthe apna daaman
hasti-e-shaaer allaah allaah
husn ki manzil ishq ka maskan
rangin fitrat saada tabeeat
farsh-nashin aur arsh-nasheman
kaam adhoora aur aazaadi
naam bade aur thode darshan
shama hai lekin dhundali dhundali
saaya hai lekin raushan raushan
kaanton ka bhi haque hai kuchh aakhir
kaun chhudaae apna daaman
chalti phirti chhaanw hai pyaare
kis ka sahra kaisa gulshan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai