kasrat mein bhi wahdat ka tamaasha aaya
jis rang mein dekha tujhe yakta aaya
jab us rukh-e-pur-noor ka jalwa nazar aaya
kaaba nazar aaya na kaleesa nazar aaya
ye husn ye shokhi ye karishma ye adaaein
duniyaa nazar aai mujhe toh kya nazar aaya
ik sarkhushi-e-ishq hai ik be-khudi-e-shauque
aankhon ko khuda jaane miri kya nazar aaya
jab dekh na sakte the toh dariya bhi tha quatra
jab aankh khuli quatra bhi dariya nazar aaya
qurbaan tiri shaan-e-inaayat ke dil o jan
is kam-nighi par mujhe kya kya nazar aaya
har rang tire rang mein dooba hua nikla
har naqsh tira naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya
aankhon ne dikha di jo tire gham ki haqueeqat
aalam mujhe saara tah-o-baala nazar aaya
har jalwe ko dekha tire jalwon se munawwar
har bazm mein tu anjuman-aara nazar aaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai