kaam aakhir jazba-e-be-ikhtiyaar aa hi gaya
kuchh is soorat se tadpa un ko pyar aa hi gaya
jab nigaahein uth gain allaah-ri meraaj-shauque
dekhta kya hoon wo jaan-e-intizaar aa hi gaya
haae ye -e-tasawwur ka fareb-e-rang-o-boo
main ye samjha jaise wo jaan-e-bahaar aa hi gaya
han saza de ai khuda-e-ishq ai taufeeque-e-gham
phir zabaan-e-be-adab par zikr yaar aa hi gaya
is tarah khush hoon kisi ke waada-e-farda pe main
dar-haqueeqat jaise mujh ko etibaar aa hi gaya
haae kaafir-dil ki ye kaafir junoon-angeziyan
tum ko pyar aae na aae mujh ko pyar aa hi gaya
dard ne karwat hi badli thi ki dil ki aad se
dafaatan parda utha aur parda-daar aa hi gaya
dil ne ik naala kiya aaj is tarah deewaana-waar
baal bikhraae koi mastaana-waar aa hi gaya
jaan hi de di jigar ne aaj pa-e-yaar par
umr bhar ki be-quaraari ko quaraar aa hi gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai