jo ab bhi na takleef farmaaiyega
toh bas haath malte hi rah jaaiyega
nigaahon se chhup kar kahan jaaiyega
jahan jaaiyega hamein paaiyega
mira jab bura haal sun paaiyega
khiraaman khiraaman chale aaiyega
mita kar hamein aap pachhtaaiyega
kami koi mahsoos farmaaiyega
nahi khel naaseh junoon ki haqueeqat
samajh leejiyega toh samjhaaiyega
hamein bhi ye ab dekhna hai ki ham par
kahan tak tawajjoh na farmaaiyega
sitam mein aap aasan na samjhein
tadap jaaiyega jo tadpaaiyega
ye hai ise dil hi bas rahne deeje
karam keejiyega toh pachhtaaiyega
kahin chup rahi hai zabaan-e-mohabbat
na farmaaiyega toh farmaaiyega
bhulaana hamaara mubaarak mubaarak
magar shart ye hai na yaad aaiyega
hamein bhi na ab chain aaega jab tak
in aankhon mein aansoo na bhar laaiyega
tira jazba-e-shauque hai be-haqueeqat
zara phir toh irshaad farmaaiyega
hamin jab na honge toh kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaaiyega
ye maana ki de kar hamein ranj-e-furqat
mudaawa-e-furqat na farmaaiyega
mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin
kahan tak tabeeat ko bahlaaiyega
na hoga hamaara hi aaghosh khaali
kuchh apna bhi pahloo tahi paaiyega
junoon ki jigar koi had bhi hai aakhir
kahan tak kisi par sitam dhaaiyega
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai