jehal-e-khirad ne din ye dikhaae
ghat gae insan badh gae saae
haae wo kyoonkar bahlaae
bhi jis ko raas na aae
zid par ishq agar aa jaae
paani chhidke aag lagaae
dil pe kuchh aisa waqt pada hai
bhaage lekin raah na paae
kaisa majaaz aur kaisi haqueeqat
apne hi jalwe apne hi saae
jhooti hai har ek masarrat
rooh agar taskeen na paae
kaar-e-zamaana jitna jitna
banta jaae bigadta jaae
zabt-e-mohabbat shart-e-mohabbat
ji hai ki zaalim umda aae
husn wahi hai husn jo zaalim
haath lagaae haath na aae
naghma wahi hai naghma ki jis ko
rooh sune aur rooh sunaae
raah-e-junoon aasaan hui hai
zulf o miza ke saae saae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai