mein la-jawaab hain ham log
maahtaab aaftaab hain ham log
garche ahal-e-sharaab hain ham log
ye na samjho kharaab hain ham log
shaam se aa gae jo peene par
subh tak aaftaab hain ham log
ham ko daawa-e--baazi hai
mustahiqque-e-azaab hain ham log
naaz karti hai khana-weeraani
aise khana-kharaab hain ham log
ham nahi jaante khizan kya hai
kushtagaan-e-shabaab hain ham log
tu hamaara jawaab hai tanha
aur tera jawaab hain ham log
tu hai dariya-e-husn-o-mahboobi
shakl-e-mauj-o-habaab hain ham log
go saraapa hijaab hain phir bhi
tere rukh ki naquab hain ham log
khoob ham jaante hain apni quadr
tere naa-kaamyaab hain ham log
ham se ghaflat na ho toh phir kya ho
rah-raw-e-mulk-e-khawaab hain ham log
jaanta bhi hai us ko tu waaiz
jis ke mast-o-kharaab hain ham log
ham pe naazil hua saheefa-e-ishq
saahibaan-e-kitaab hain ham log
har haqueeqat se jo guzar jaaein
wo sadaaqat-maaab hain ham log
jab mili aankh hosh kho baithe
kitne haazir-jawaab hain ham log
ham se poochho jigar ki sar-masti
mahram-e-aan-janaab hain ham log
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai